Jeevan dharam

Krishna sakhi is about our daily life routine, society, culture, entertainment, lifestyle.

Sunday, 20 May 2018

श्री कृष्ण का यह सरल गुप्त मंत्र

No comments :

अगर करोड़पति बनना है तो श्री कृष्ण का यह सरल गुप्त मंत्र जरूर जपिये

“कृं कृष्णाय नमः”

Yeh mantra sri krishna ka mool mantra bataya gaya hai, prateh kaal uth kar nityakriya wa snanadi k paschat ek sau aath baar is mantra ka jaap kare, aisa karne se vaykti ka atka hua dhan prapt hota hai , mantra japne wale manusya sabhi baadhao aur kasto se mukht rehta hai aur ghar pariwaan mein shukh shanti aati hai.

“ऊं श्रीं नमः श्रीकृष्णाय परिपूर्णतमाय स्वाहा”

Yeh mantra koi sadharan mantra nahi balki sri krishn ka saptdashakshak maha mantra hai | Manyatao k anusaar anya mantra 108 baar baar jaap karne se hi siddh ho jate hai par yeh maha mantra  paanch lakh baar jaap karne se hi siddh hota hai.

Dharmik maanyatao k anusaar jap k samay hawan ka dashans  abhishekh  ka dashansh
tarpan tatha tarpan ka dashansh maarjan karne ka vidhan shastro mein varnit hai. Jis vaykti  ko yeh mantra siddh ho jata hai use karorpati hone se koi nahi rok sakta.

“गोवल्लभाय स्वाहा”

Ye do shabdo k mantra k liye prayog mein aaye saat akchar behad mahatpoorna hai, yadi uchharan k samay ek bhi akchar sahi se nahi padha gaya to is mantra ka asar khatam ho jatahai.

Is mantra ko sahi se japne se apar dhan ki prapti hoti hai, yadi aapko dhan ki prapti bahut jald karni hai to is mantra ka jaap uthte baithte, chalte firte har samay is mantra ka suddh man se uchhran kare. waise to is mantra k jaap k liye koi vishes sankhya nahi bandhi gayi hai lekin aisa paya gaya hai ki is mantra jaap k sawa lakh hote hi arthik shithiti mein bahut jald sudhaar aata hai.

“गोकुल नाथाय नमः”

yeh mantra apki sabhi ikchao ki poorti karne wala mana gaya hai. is mantra ka sahi jaap karne se manusya ki sabhi manwanchit abhilasao ki poorti hoti hai.

“क्लीं ग्लौं क्लीं श्यामलांगाय नमः”

Agar aapko apne arthik sthithi ko bahut aage le jana hai to aap is mantra ka jaap kijiye. Yeh mantra aapki dhan prapti ka yog banata hai aur usmein tezi se sudhar bhi lata hai.

“ॐ नमो भगवते श्रीगोविन्दाय”

Is mantra aapko prem vivah sambandhi archan mein laabh pahuchayega.  agar aapko prem vivah karna chahte hai lekin hamesha archan aa rahi hai is mantra ko prateh uth kar snan kar k dhyan poorvak 108 baar jaap kijiye, kuch hi dino mein aapko chamatkari laabh milega.

“ऐं क्लीं कृष्णाय ह्रीं गोविंदाय श्रीं गोपीजनवल्लभाय स्वाहा ह्र्सो”

Is mantra ko jaap karne se vani ki chamta majboot ho jati hai aur wo jo bhi bole wo siddh ho jati hai.

“ॐ श्रीं ह्रीं क्लीं श्रीकृष्णाय गोविंदाय गोपीजन वल्लभाय श्रीं श्रीं श्री”

is mnatra ko jaap karne se jiwan mein kisi bhi prakaar k baadhao ko door karta hai.

“ॐ नमो भगवते नन्दपुत्राय आनन्दवपुषे गोपीजनवल्लभाय स्वाहा”

Is 28 akcharo wale sri krishna k mantra ka jaap karta hai to jaap karne wale ko sabhi manwanchit fal ki prapti hoti hai, use sabhi abhist vaanchit vastuye prapt hoti hai.

“लीलादंड गोपीजनसंसक्तदोर्दण्ड बालरूप मेघश्याम भगवन विष्णो स्वाहा”

Is aathwe sri krishna k mantra ko jo bhi sadhak ek laakh baar jaap k sath ghi sakkar tatha sehad mein til wa akchat ko milakar hawan karta hai to use sthir laksmi arhthat stayi sampatti ki prapti hoti hai.

“ॐ कृष्ण कृष्ण महाकृष्ण सर्वज्ञ त्वं प्रसीद मे। रमारमण विद्येश विद्यामाशु प्रयच्छ मे”

Yeh mantra atyant chamatkari avam gopniye hai, yeh mantra ka jaap jo bhi sadhak karta hai use samast prakaar ki vidyaein nisandeh hi prapt hoti hai, is gopniye mantra ko japte samay kisi ko bhi pat anahi chala chahiye.



Ruchi Sehgal