Jeevan-dharm is about our daily life routine, society, culture, entertainment, lifestyle.

Friday 1 September 2017

Bawaseer (Hemorrhoids) Ka Gharelu Ilaaj In Hindi

No comments :


Bawaseer ek aisa rog hai jo kisi bhi vayakti ko koi bhi age me ho jaata hai, 
Bavasir do prakar ki hoti hai -1. Andar ki aur 2. Bahar ki.
Andar ki bavasir me masse andar ko hote hai. Gol chapte ubhare huye masse chane-masur ke dane ke barabar bhi hote hai. Kabj ki vajah se ab andar ka massa soch (washroom) karte samay jor lagane par bahar aa jaata hai to jakhm (injury) ho jatey hai.
Bahar ki bavasir me massa guda (Ass) vali jagah par hota hai. Isame itana dard nahi hota. Kabhi Kabhi mithi kharish YA khujali hoti hai. Kabj hone par itana khoon (Blood) aane lagta hai ki marij khoon dekhakar ghbara jata hai, Aur Chehera pila pad jata hai.

Bavasir Ki Nishani.


Bavasir se marij ka Haajma kharab ho jaata hai, Bhookh nahi lagti hai, Kabj rahene lagati hai, Pet me kabhi kabhi Gas banane lagti hai. Meda, Dil, Jigar kamjor ho jaate hai. Aamtor se sharirik kamjori ho jati hai. Marijo ke muh par halki sujan bhi aa Jati hai.
Mal tyaagne ke samay blood aata hai, yeh bundo jaisa nikalata hai. Jab isaka pidit mal tyaagne ke liye jor karta hai to masse bahar aa jate hai aur andar dhakelane per bhi vo andar nahi jate.
isase guda ke bhag ya andar mr khujali bhi hoti hai.

Bawaseer hone ke kaaran.

Qabj: Qabj ki vajah se mal tyagane ke karte samay jor lagane ke kaaran guda ke aas pass ki raqt nalikaaye dab jaati hai aur ispe asar padne se bawaseer ho jaata hai. Agar aapko Qabj ki takleef hai to usase chhutakar paana chahiye. to is tarah se Bawaseer se bacha ja sakta hai.

Guda maithun (Anal sex) : Guda maithun se bhi bawaseer hone ki shikayat hoti hai.
Garbhavastha: Aurato ko garbh ke samay raqt nalikao par dabav aane ke karan bhi yeh rog ho sakata hai.
Wajan uthana: wajan uthane ke karan sas (breath) rokane ke karan guda ki nalikao par dabav aata hai to yeh bimari hone ki sambhavna hoti hai.
Motapa: Motapa ke karan bhi ye shikayat raheti hai, pet bahar aane ki vajah se.
Badhti Umar : Badhati umar ke karan guda ke andar ka bhag kamjor pad jata hai aur yeh hone ki sambhavna hoti hai.

Abhi aapko yeh to samaj aa gaya hoga ki kise bawaseer kahete hai aur yeh hamari rojinda jeevan ki aadato se honewali bimari hai. Yaha par me kuchh gharelu ilaaj ki list de rha hu jaise usame bataya gaya hai bilkul thik vaisa hi kare aapko isase rahat milegi.

Bawaseer ka Gharelu ilaaj in hindi:


1. Bawaseer ka gharelu ilaaj in hindi.
50 gm rithe lekar tave par rakhakar katori se dhak de aur tave ke niche 30 min aaga jalaye. Rithe bhasm ho jayenge. Thanda hone par katori hatakar baarik kar ke rithe ki bhasm 20 gm, Kattha safed 20 gm, kushta faulad 3 gm aur sabko baarik karke mila le. Wajan khurakh 1 gm subah ko 1 gm sham ko 20 gm Makkhan me rakhkar kaye. Upar se 250 gm Dudh (Milk) pi liya kare.

2. Bawaseer ka gharelu ilaaj in hindi.

10-15 din khaye, Yeh bahot badiya dawai hai. Khuni baadi bavasir ko dur karegi. Parhej good, Gosh (mutton) Sharab, Aam, Angoor Na khaye. Kabj Na hone de. Aur niche likha maraham masso par lagaye.

3. Bawaseer ka gharelu ilaaj in hindi.

Pake kele ko bich se chirakar uske 2 tukade kar le aur usape kattha chhidak de, isake baad us kele ko sham ko aasman ke niche rakh de. Subah me pratkal ki kriya karne ke bad use khale, 1 week tak isaka sevan karne se bhayankar se bhayankar bawaseer thik ho jati hai.

4. Bawaseer ka gharelu ilaaj in hindi.
Chhoti pipal ko pisakar usak churn bana le shahad ke sath usaka sevan kare usase rahat milati hai.


MARHAM BAVASIR : veslin safed 50 gm, Kapoor 6 gm, Sulfa diagin ki 3 goli, Borik acid 6 gm sabko barik kar ke vesalin me milakar ratko sote samay subah soch jaane se pahele din me ekbar rojana ungli ke gath andar bahar masso pe lagaye.



Khuni Bavasir: 


1. Bawaseer ka gharelu ilaaj in hindi.
Gende ke hare patte 10 gm, Kaali mirch 5 daane, kunja mishri 10 gm, 60 gm paani se ragad chhankar 4 din tak 1-1 bar piye. Garm chize na khaaye aur kabj na hone de.

2. Khuni bawaseer me nimbu ko beech se chirakar usme 4 gm kattha chhidak de aur use rat me chhat pe rakh de, subah me uthakar use chus le. khuni bawaseer ke ilaajo me se isako uttam ilaaj mana jaataa hai.

No comments :

Post a Comment